Tum Gulistan Se Gae Ho To Gulistan Chup Hai Makhdoom Mohiuddin

here a great ghazal of Makhdoom Mohiuddin from “Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab” Tum Gulistan Se Gae Ho To Gulistan Chup Hai. lets enjoy the ghazal given below
Tum Gulistan Se Gae Ho To Gulistan Chup Hai Makhdoom Mohiuddin
tum gulistan se gae ho to gulistan chup hai
shaKH-e-gul khoi hui murgh-e-KHush-ilhan chup hai
ufuq-e-dil pe dikhai nahin deti hai dhanak
gham-zada mausam-e-gul abr-e-bahaaran chup hai
aalam-e-tishnagi-e-baada-gusaran mat puchh
mai-kada dur hai mina-e-zar-e-afshan chup hai
aur aage na baDha qissa-e-dil qissa-e-gham
dhaDkanen chup hain sarishk-e-sar-e-mizhgan chup hai
shahr mein ek qayamat thi qayamat na rahi
hashr KHamosh hua fitna-e-dauran chup hai
na kisi aah ki aawaz na zanjir ka shor
aaj kya ho gaya zindan mein ki zindan chup hai
Related: For more Famous poet keep visiting us & Enjoy online poetry